Ya Mustafa (S.A.W.W) Ataa Ho Naat 2022 for Ramadan Mubarak

Ya Mustafa (S.A.W.W) Ataa Ho Naat 2022 for Ramadan Mubarak

Ya Mustafa (S.A.W.W) Ataa Ho Naat listen audio track by Muhammad Abdullah Khalil Qadri Attari. Ya Mustafa (S.A.W.W) Ataa Ho Naat lyrics with video and audio.

Ya Mustafa (S.A.W.W) Ataa Ho

With lyrics and video in Urdu Ya Mustafa (S.A.W.W) Ataa Ho became famous with the voice of famous Awais Raza Qadri. Or Mustafa (SAW) may be granted Ya Mustafa (S.A.W.W) Ataa Ho  Naat in Urdu can be listened, downloaded, read and shared with others. Ya Mustafa (S.A.W.W) Ataa Ho Ke Bol is also available on allupdatez4you.blogspot.com. In this Naat, Awais Raza Qadri pays homage to the Holy Prophet (PBUH) for his forgiveness and reward for his sins. This Naat has been recorded in the sarcastic voice of Mehfil Awais Raza Qadri.

YaMustafa (S.A.W.W) Ataa Ho Urdu Naat which is available online with lyrics. Praise (Urdu: حمد) is only the words of praise of Allah Almighty, Naat is not praise because praise is the special praise of Allah Almighty (Creator of the world) which is only one but Naat (Urdu: نعت) is a poetry that is special But she praises the Holy Prophet (sws). This practice is appropriately popular in Pakistan, England, Turkey, India, Bangladesh and some other Muslim countries in Urdu or Punjabi language. People who recite Naat or Hamd are called Naat Khua'an.

Ya Mustafa (S.A.W.W) Ataa Ho Naat Listen


 

Ya Mustafa (S.A.W.W) Ataa Ho Lyrics:-

Ya Mustafa ataa ho phir izan hazri ka

Kar loon nazarah aa kar phir apki gali ka

Aik bar phir dekha do Ramzan mein Madinah

Baishak bana lo Aaqa mehman dou ghari ka

 

 

Rota huwa phir aon daagh e jigar dikhaoon

Afsana bhi sunaoon main apni baykasi ka

Ya Mustafa ataa ho phir izan hazri ka

Phir Sabz, Sabz gumbad ki dekh loon baharain

Ab izan day den Aaqa phir mujh ko hazri ka

Ya Mustafa (S.A.W.W) Ataa Ho

 

 

Ya Mustafa gunahoon ki aadatein nikal jayein

Jazbah mujhay aata ho Sunnat ki pairwi ka

Dil say ghuroor niklay, bahray Huzoor niklay

Ya Rab! mujhay bana day paikar Tu aajzi ka

Allah! hub-e-duniya say Tu mujhay bachana

Sa’il houn Ya Khuda main Ishq e Muhammadi() ka

 

 

Iman pay Rab e Rehmat day day Tu isteqamat

Deta houn wasta main Tujh ko Teray Nabi ka

Ulfat ki bheek day do! deta houn wasta mein

Siddiq ka Umar ka, Usman ka Ali ka

Duniya kay tajdaro! tum say mujhay gharz kiya!

Mangta hoon main to mangta Sarkar ki gali ka

Meezaan pay sabh khar’ay hain amaal tul rahay hain

 

Rakhlo bharam Khudara! Attar e Qadri ka

Day do gham e Madina…. day do gham e Madina

Aisa gham e Madina dekhoon na mooh khushi ka

Khoon-e-jigar say se’ncha hai baagh e Sunniyat ka

Kardo karam waseelah is Madni murshidi ka

Ya Syed e Madina! bus Aap hi nibhana

 

 

Go houn bada kaminah, par houn to Aap hi ka

Houn dur sabh balaein deta houn wasta mein

Mazloom karbala ki Sarkaar! bekasi ka

Ho har Nafas Madina dharkan mein ho Madina

Jab tak na sa’ans tutay Sarkaar zindagi ka



Allah! is say pehlay Imaan pay maut de day

Nuqsaan mare sabab say ho Sunnat e Nabi ka

Kuch nekiyaan kamale jald akhirat banale

Koi nahi bharosa bhai! zindagi ka.

Ya Mustafa (S.A.W.W) Ataa Ho

Ya Mustafa (S.A.W.W) Ataa Ho

 

No comments:

Post a Comment